chashm meri nahin bujhi hai abhi in charaghon mein raushni hai abhi us ko bhi pyas mere ishq ki hai dil mein mere bhi tishnagi hai abhi shayad us ko pata pata hai tera kuchh hawa mujh se kah rahi hai abhi guftugu ki jhijhak batati hai tum mein ehsas-e-kamtari hai abhi in pe naqqad ki nazar na padi mere sheron mein tazgi hai abhi na-mukammal hai ishq mein tu bhi mere andar bhi kuchh kami hai abhi bazm-e-yaran ki kya zarurat hai mujh se tanhai bolti hai abhi kis ki hain siskiyan hawaon mein har taraf kaisi khamushi hai abhi apni ghazlon ko do zaban 'shadab' dastan ek an-kahi hai abhi