chaunka hai aaj yun tera diwana khwab mein jaise ki mil gaya koi virana khwab mein likhna hai pichhle din ka bhi afsana khwab mein ai hone wali subh na aa jaana khwab mein din-bhar ki mushkilat ki duni saza mili bedariyon ka khwab hai dohrana khwab mein hum ko gham-e-jahan ne dilase bahut diye bahlana jagte mein to samjhana khwab mein subh-e-subu-ba-dast se ab ke milenge hum dar-o-rasan pe aae hain rindana khwab mein shayad ki aaj gardan-e-saqi mein hath hon chhina hai ek shakhs se paimana khwab mein