chehra bata raha hai raaton ko jagte ho kaisi thakan mili hai hans kar utarte ho kis ke qadam pade the kaise nishan pade hain kis ke ghamon ki mitti aangan se jhadte ho likkho kabhi ki mujh ko tum yaad kar rahe ho masrufiyat ke lamhe bhi mujh pe warte ho chhoda tha tum ne jaisa thahre hue hain ab tak aur tum gali gali mein hum ko pukarte ho rukhsat karo na hans kar aankhon se do duaen jaane pe mere aise kyon munh bigadte ho tare hue hain maddham chanda chala gaya hai yan raat ho chuki hai tum din guzarte ho mausam hua hai barham bechain hain fazaen aise mein tum 'diya' ki zulfen sanwarte ho