chehra bujha bujha sa badan zard zard hai aalam tamam ta-ba-ufuq gard gard hai amn-o-sukun-e-qalb abas dhundhte hain aap wo daur hai ki said-e-bala fard fard hai aae kahan se zor-o-kashish jazb-e-ishq mein jab khud mizaj husn ka kuchh sard sard hai sad mushkilat aur masaib ke bawajud sabit-qadam raha jo wahi mard mard hai kuchh rah gaya na ranj-o-masarrat mein imtiyaz 'hasrat' khushi khushi hai na ab dard dard hai