chehra koi bhi aankh mein thahra na phir kabhi dil ne kisi bhi shakhs ko chaha na phir kabhi rutha zara si baat pe uth kar chala gaya aisa gaya ki laut ke aaya na phir kabhi kuchh yun mila tapak se bas ishq ho gaya wo ajnabi tha kaun tha socha na phir kabhi us ne bataur tohfa diya tha libas-e-hijr pahna jo ek bar utara na phir kabhi dekhe zaif kandhon pe mehnat ke jab nishan bachchon ne kuchh bhi bap se manga na phir kabhi daulat mili to chhin gai ehsas ki qaba us ne mera mizaj bhi puchha na phir kabhi 'nazish' guzar chuka tha had-e-e'tidal se jaane kahan gaya use dekha na phir kabhi