chehra to chamak damak raha hai andar se ye shakhs bujh chuka hai thi tab-e-rawan misal-e-dariya dariya ye magar utar gaya hai aankhon mein the khwab sau tarah ke ye rang-mahal ujad chuka hai naqsh us ke hain be-numud sare naghma aisa ki be-sada hai baitha hai udas ghar mein tanha jaise koi us ko dhundhta hai tum us ko talash kya karoge khud apne se jo bichhad chuka hai ye rang-e-sukhan hai khas us ka ek aisi ghazal jo marsiya hai