chehre ke KHadd-o-Khaal mein aaine jaDe hain

chehre ke khadd-o-khal mein aaine jade hain
hum umr-e-gurezan ke muqabil mein khade hain

har sal naya sal hai har sal gaya sal
hum udte hue lamhon ki chaukhat pe pade hain

dekha hai ye parchhain ki duniya mein ki aksar
apne qad-o-qamat se bhi kuchh log bade hain

shayad ki mile zat ke zindan se rihai
diwar ko chata hai hawaon se lade hain

udte hain parinde to yahan jhil bhi hogi
tapta hai bayaban-e-badan kos kade hain

shayad koi isa-nafas aae unhen puchhe
ye lafz jo be-jaan se kaghaz pe pade hain

is baat ka mafhum main samjha nahin 'akhtar'
taswir mein sahil pe kai kachche ghade hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close