chhanw ki shakl dhup ki rangat badal gai

chhanw ki shakl dhup ki rangat badal gai
ab ke wo lu chali hai ki surat badal gai

hansna hansana apna mashini amal hua
badli hawa-e-shahr to aadat badal gai

achchha sa suit jism par apne saja ke wo
khush hai ki jaise ghar ki bhi haalat badal gai

sar ko chhupaya panw bhi khulne nahin diya
khwahish badhi to apni zarurat badal gai

nazzara-e-nigah hai ye jalta-bujhta din
kuchh gham nahin jo raat ki dawat badal gai

ab guftugu mein beach se ghaeb hai aadmi
hum tak to aate aate riwayat badal gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close