chheD karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qaba dosto

chhed karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qaba dosto
lala-o-gul ke bhi dil machalne lage dekh kar ye chaman ki faza dosto

koi nau-khez doshiza le ke chali jab kabhi jam-e-shoala-numa dosto
raunaq-e-mai-kada khud-ba-khud hi badhi hashr sa ho gaya ek bapa dosto

saz bajne lage git dhalne lage saghar-e-mai ke bhi daur chalne lage
mah-jamalon ne zulfen kahin khol din chha gai mai-kade par ghata dosto

un ke dilkash se gulnar rukhsar par bikhre bikhre se gesu shikan-dar-shikan
aur is par qayamat hai un ki hansi lab ne ki hai mere phir khata dosto

khud-bakhud gulsitan mein kali jab khili raat ki god mein chandni hans padi
jhuk gai bahr-e-sajda nasim-e-sahar hai ye aadab-e-mehr-o-wafa dosto


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close