chhed ke saz-e-zargari khalq-e-khuda hai raqs mein yun ki tamam shahr hi dub chala hai raqs mein ye jo nasha hai raqs ka ek meri zat tak nahin kuza-ba-kuza gil-ba-gil sath khuda hai raqs mein koi kisi se kya kahe koi kisi ki kyun sune! sab ki nazar hai tal par sab ki ana hai raqs mein husn ki apni ek numu ishq ki apni hao-hu ek hawa hai rang mein ek hawa hai raqs mein kaun ye kah ke chal diya ho teri bastiyon ki khair aaj hawa bhi tez hai aur diya hai raqs mein koi sawad-e-waqt par koi surud-e-zat tak panw hai sab ka ek sa phir bhi juda hai raqs mein burj-e-shahi se dekhna aise fishaar-e-waqt mein khak-ba-sar ghazal-ba-lab kaun gada hai raqs mein