chhoda na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua hum se to but-e-kafir ba-khuda ye bhi na hua wo bhi na hua afsos adam se aa ke kiya kya hum ne gulshan-e-hasti mein jun shabnam-o-gul roya na hansa ye bhi na hua wo bhi na hua us aaina-ru ke wasl mein bhi mushtaq-e-bos-o-kanar rahe ai aalam-e-hairat tere siwa ye bhi na hua wo bhi na hua dil ku-e-butan mein ja baitha dam khana-e-tan ko chhod gaya haif aakhir-e-kar rafiq apna ye bhi na hua wo bhi na hua ya bahr-e-tawaf-e-kaba gae ya moatakif-e-but-khana hue kya shaikh o barhaman hum ne kiya ye bhi na hua wo bhi na hua ai qasid-e-ashk o paik-e-saba us tak na payam-o-khat pahuncha tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua khench us ko na laya jazba-e-dil tasir na kuchh nale hi ne ki main donon ka bas shaki hi raha ye bhi na hua wo bhi na hua us lab ka liya bosa na kabhu haihat na lipta pawon se dil tujh se ba-rang-e-pan-o-hina ye bhi na hua wo bhi na hua majnun to phira jangal jangal farhad ne chira koh-e-dila main aah raha be-dast-o-pa ye bhi na hua wo bhi na hua din ko bhi na dekha hum ne use shab khwab mein bhi yaro na mila is tala-e-khufta ka howe bura ye bhi na hua wo bhi na hua nazdik 'nasir' apne aasan farmaish thi goya ye ghazal kuchh us ka bhi kahna mushkil tha ye bhi na hua wo bhi na hua