chhodti hi nahin mujh ko shab-e-furqat meri ai mein qurban use itni mohabbat meri kyun kar upar uthen aankhen meri ai hasrat-e-did sar uthane nahin deti hai nadamat meri phut kar rone se ashkon ka mara hai pani be-bahaar aae khuli jati hai turbat meri wasl ki shab wo daraate hain ye kah kah ke mujhe tum satao tumhein kosegi nazakat meri jalwa-e-yar ne behosh kiya hai mujh ko kuchh alag nashsha-e-mai se rahi ghaflat meri aankh taron ne churai ye nai baat hai aaj dekhiye katti hai kyun kar shab-e-ghurbat meri rahn-e-mai hone se bach jae to izzat rah jae mol le le koi dastar-e-fazilat meri rahen ta-hashr yunhi mehndi lage panw ke naqsh chaar phulon ki na mohtaj ho turbat meri tare mujh ko nazar aaen na kahin hashr ke din dar se badh jae na had se shab-e-furqat meri chhed kar majma-e-zuhhad ko darta hun 'riyaz' kohna masjid ki ewaz ho na marammat meri