chhup ke us ne jo khud-numai ki intiha thi ye dilrubai ki mail-e-ghamza hai wo chashm-e-siyah ab nahin khair parsai ki hum se kyunkar wo aastana chhute muddaton jis pe jabha-sai ki dil ne barson ba-justuju-e-kamal kucha-e-ishq mein gadai ki dam se un ke chhutna to kahan yan hawas bhi nahin rihai ki kya kiya ye ki ahl-e-shauq ke sath tu ne ki bhi to bewafai ki ho ke nadim wo baithe hain khamosh sulh mein shan hai ladai ki us taghaful-shiar se 'hasrat' hum mein taqat nahin judai ki