chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein

chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
koi to phul khilae dua ke lahje mein

main us ki qadr karunga jo mere aibon ko
mere hi munh pe kahe aashna ke lahje mein

zamana aaj bhi qasir hai ye samajhne se
safar ki baat hui kyun hawa ke lahje mein

hamare dard ka andaza us ko kya hoga
ki ashk hote nahin hain wafa ke lahje mein

hai e'tiraf ki akasr ulajh pade jis se
wo mehrban hua hai dua ke lahje mein

meri nazar mein raha hai jo mohtaram 'anjum'
wahi hai mujh se mukhatab saza ke lahje mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close