chhupta nahin naqab mein jalwa shabab ka

chhupta nahin naqab mein jalwa shabab ka
nikle hai chhan ke taron se nur aaftab ka

kuchh dil se apne puchh ke wa'iz hamein bata
yun bar-bar de na hawala kitab ka

kausar ke sath-sath hai tasnim bhi wahin
naqsha to khub khincha hai wa'iz sarab ka

kab tak marenge aas mein insaf ki bashar
kyon muntazir hai maula tu roz-e-hisab ka

aaghaz-e-kaenat ki thi jis mein dastan
lagta hai phat gaya hai wo panna kitab ka

kuchh apna ird-gird badal kar dikha 'sada'
nahaq padha na sab ko sabaq inqalab ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close