chiKHte hain dar-o-diwar nahin hota main

chikhte hain dar-o-diwar nahin hota main
aankh khulne pe bhi bedar nahin hota main

khwab karna ho safar karna ho ya rona ho
mujh mein khubi hai bezar nahin hota mein

ab bhala apne liye banna sanwarna kaisa
khud se milna ho to tayyar nahin hota main

kaun aaega bhala meri ayaadat ke liye
bas isi khauf se bimar nahin hota main

manzil-e-ishq pe nikla to kaha raste ne
har kisi ke liye hamwar nahin hota main

teri taswir se taskin nahin hoti mujhe
teri aawaz se sarshaar nahin hota main

log kahte hain main barish ki tarah hun 'hafi'
aksar auqat lagatar nahin hota main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close