chob-e-sahra bhi wahan rashk-e-samar kahlae hum khizan-bakht shajar ho ke hajar kahlae hum tah-e-khak kiye jaan ka araq un ke liye aur pas-e-rah-e-wafa gard-e-safar kahlae un ki poron mein sitare bhi hain angare bhi wo sadaf jism hue aatish-e-tar kahlae apni rahon ka gulistan lage virana un ki dahliz ki mitti bhi guhar kahlae jin ki khairaat se lamhon ki lawen jagti hain shab-nizhadon mein wahi dast-e-nigar kahlae un ke katbe pe yahi waqt ne likkha hai ki wo raushni bantte the tera nazar kahlae wo to diwaron mein chunta hai zamane ka zamir hum hi kya sang-e-sar-e-rahguzar kahlae 'shad' be-sarfa gaya umr ka sarmaya-e-harf hum ki the jaan-e-sada gung-e-hunar kahlae