chup hun sab jaanta magar hun main ye na samjho ki be-khabar hun main yun to kahne ko ek shajar hun main lekin afsos be-samar hun main koi apna hai meri kamzori warna sachchi bada nidar hun main aaj be-fikr ho ke so jao mere ghar walo aaj ghar hun main zehn mein lainen hain sadken hain ab to lagta hai khud safar hun main har taraf khushbuon se bhar dunga mausam-e-gul ka muntazir hun main mujh pe chal kar to dekhiye 'ulfat' makhmali ghas key dagar hun main