chup khada hai aasman kya khuda hai aasman log so chuke magar jagta hai aasman rahna hai zamin par sochna hai aasman jo bhi kar rahe hain hum dekhta hai aasman tujh se mil ke yun laga chhu liya hai aasman kaun is zamin par rakh gaya hai aasman roz ek nai zamin ek naya hai aasman shahar ka makin bhi dhundhta hai aasman mere waste koi ban gaya hai aasman jaane kis ke sog mein ro raha hai aasman