chup khade hain darmiyan-e-kaba-o-but-khana hum kis taraf jaen bata ai jalwa-e-jaanana hum azmat-e-rafta se itne ho gae begana hum ban gae hain apni hi nazron mein aaj afsana hum hae ye majmua-e-sar-masti-o-kaif-o-khumar tak rahe hain teri aankhon ko liye paimana hum bewafa shamen bahar-su dhundhti hain ab hamein mit gae jab surat-e-khakistar-e-parwana hum hain nigahon mein abhi tak tur ki ruswaiyan ab kahan jurat ki dekhen jalwa-e-jaanana hum aarzu-e-sajda-rezi had se badh jati hai jab sar tere qadmon pe rakh dete hain betabana hum pa-e-saqi tak jabin-e-shauq ko pahuncha diya tere mamnun-e-karam hain laghzish-e-mastana hum