chup rahe to shahr ki hangama aarai mili ab agar khole to hum ko qaid-e-tanhai mili zindagi ki zulmaten apne lahu mein rach gain tab kahin ja kar hamein aankhon ki binai mili mausam-e-gul ki nai taqsim hairan kar gai zakhm phulon ko mile kanton ko ranai mili sath-e-dariya par ubharne ki tamanna hi nahin arsh par pahunche hue hain jab se gahrai mili dusron ko sang-e-dil kahna bada aasan tha khud ko jab dekha to apni aankh pathrai mili