daba jo rakh ki tah mein sharar na KHatm hua

daba jo rakh ki tah mein sharar na khatm hua
bhadak uthega dabaw agar na khatm hua

laraz rahe hain musafir ke raungte ab tak
panah-gah mein bhi lutne ka dar na khatm hua

milen jo rah mein dekhen na aankh bhar kar hum
ghata hai rabt magar is qadar na khatm hua

racha hua hai tajassus ka sam fazaon mein
ajab fasana tha anjam par na khatm hua

har ek samt se phut aai hain nai shakhen
tane ke katne se nam-e-shajar na khatm hua

utha ke dost mujhe chal diye hain kandhon par
hayat khatm hui par safar na khatm hua

fasil-e-jabr mein dekhe usi ke sapne 'jaan'
kisi bhi haal mein zauq-e-nazar na khatm hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close