dafatan bichhdega wo bhi dil ko ye dhadka na tha jo mere hamrah tha lekin mera saya na tha soch ka tufan shadabi baha kar le gaya aisa lagta hai ki ye chehra kabhi mera na tha mausam-e-gul mein hawaen jaise pathrai rahin khushbuon ka koi jhonka is taraf aaya na tha yun achanak jag jaane ki mujhe aadat na thi aur us ko bhi shikast-e-khwab ka khadsha na tha aaj ta-hadd-e-nazar be-kaif 'manzar' ho gaya is tarah rangon ko suraj ne kabhi khaya na tha