dagh hone lage zahir mere tez kar rang musawwir mere meri aankhon mein siyahi bhar de ya hare kar de manazir mere nuqrai jhil bulati thi unhen phans gae jal mein tair mere kaun tahlil hua hai mujh mein muntashir kyun hain anasir mere hai kahan shankh bajaane wala kab se khamosh hain mandir mere sang se jism bhi kar ab mujh ko tu kahan khoya hai sahir mere lafz ki qaid-o-rihai ka hunar kaam aa hi gaya aakhir mere