dagh husn-e-qamar bhi hota hai aib rashk-e-hunar bhi hota hai ishq ai husn be-basar hi sahi ye haqiqat-nigar bhi hota hai husn hota hai kuchh to husn-e-nazar kuchh fareb-e-nazar bhi hota hai tod dale jo dil ka aaina wahi aaina-gar bhi hota hai duri-e-rang-o-bu hazar sahi hijr paigham-bar bhi hota hai hae tul-e-hayat-e-ishq 'sahab' koi lamha basar bhi hota hai