dam-e-marg baalin par aaya to hota mere munh mein pani chuwaya to hota ye sach hai wafadar koi nahin hai kisi din mujhe aazmaya to hota tasalli na deta tashaffi na karta mere rone par muskuraya to hota mujhe apni furqat se mara to mara dam-e-naza mukhda dikhaya to hota ghalat hai ki murda nahin zinda hota tu mere janaze par aaya to hota wahin chaunk uthta main khwab-e-lahad se mera shana tu ne hilaya to hota hua id ke din main qurban tujh par bula kar gale se lagaya to hota mere qatl par tum ne bida uthaya mere hath ka pan khaya to hota wo sunta na sunta hawas to na rahti mera haal hamdam sunaya to hota misi par bhi daghon ka samra na paya charagh ek lahad par jalaya to hota gila hai mujhe tum se murghan-e-gulshan kabhi dard mera bataya to hota kabhi mere jaanib se parwaz karte koi haal-pursi ko aaya to hota nahin ye bhi shikwa na aae na aae gulon ko mera gham sunaya to hota dar-o-baam ka 'bahr' khwahan nahin main mere aashiyane mein saya to hota