dam-e-visal ye hasrat rahi rahi na rahi jamal-e-yar ki hairat rahi rahi na rahi use ye naz tha khud par ki zindagi hai meri so zindagi ki haqiqat rahi rahi na rahi kamal kar ke dikhaya hai meri aankhon ne ab in mein pahli si wahshat rahi rahi na rahi laga hua hai zamana isi tajassus mein wo mere pahlu ki zinat rahi rahi na rahi koi bhi rabt magar daimi nahin hota kisi ke haq mein tabiat rahi rahi na rahi hazaron yar hazaron hi chahne wale magar nasib mein khalwat rahi rahi na rahi hai kaisa zor ka tufan bachen bachen na bachen rahi rahi na rahi chhat rahi rahi na rahi yun apne jazb mein gum ho gaya hai ab 'sani' sharab-o-mai ki zarurat rahi rahi na rahi