dana-e-gandum-e-bedar uthane laga hun khak hun khak ka aazar uthane laga hun kurra-e-hijr se hona hai numudar mujhe main tere ishq ka inkar uthane laga hun lau ne sardar kiye rakkha hai shab bhar tum ko ai charagho main ye dastar uthane laga hun ye khuli jang hai aur jang bhi hai apne khilaf is liye apne taraf-dar uthane laga hun ek aawaz meri nind uda deti hai ibn-e-adam tere aasar uthane laga hun