dar aap ka hum chhoD ke ab jaen kahan aur

dar aap ka hum chhod ke ab jaen kahan aur
hai tark-e-talluq mein khud apna hi ziyan aur

aasan uthana na tha kuchh bar-e-khilafat
juz mere uthata bhi koi bar-e-garan aur

dil hai ki koi chaub-e-tar-o-taza-o-shadab
jab aag sulagti hai to uthta hai dhuan aur

hai fasl-e-bahaaran mein chaman shoala-ba-daman
ab dekhiye kya hota hai andaz-e-khizan aur

aazadi-e-guftar-o-khayalat ka izhaar
barbaadi ke ab is se bhi badh ke hain nishan aur

jab shisha-e-dil par mere zangar hai aata
kya kahiye chamakta hai mera dagh-e-nihan aur

main shakh-e-samar-dar ke manind hun 'mahir'
milta hun kisi se to wo karta hai guman aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close