dar-ba-dar phirta tha jab-tab tujhe aabaad kiya kya bigada tha tera kyun mujhe barbaad kiya jis tarah karta hai tu khun-e-tamanna mera kya kabhi main ne bhi aise tujhe nashad kiya zakhm jo tu ne diye the hain abhi tak taza jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya is se behtar tha ki tu qaid hi rakhta mujh ko par katar kar mera kyun bagh mein aazad kiya zindagi khel nahin hai jise bachchon ki tarah kabhi aabaad kiya aur kabhi barbaad kiya zeb deta hai tujhe mufsid-e-dauran ka khitab narawa tha jo wo kyun ai sitam-ijad kiya baghban jis ko banaya tha usi ne 'barqi' sahn-e-gulshan mein bapa nala-o-fariyaad kiya