dar dar ke jise main sun raha hun khoi hui apni hi sada hun har lamha-e-hijr ek sadi tha puchho na ki kab se ji raha hun jab aankh mein aa gae hain aansu khud bazm-e-tarab se uth gaya hun chhatti nahin khu-e-haq-shanasi suqraat hun zahr pi raha hun rahbar ki nahin mujhe zarurat har rah ka mod jaanta hun manzil na mili to gham nahin hai apne ko to kho ke pa gaya hun apni hi hawas thi sar-kashida daman se ulajh ke gir pada hun uryani-e-fikr khul na jae khwabon ke libas si raha hun har manzil-e-marg-afrin mein sar-gashta-e-zindagi raha hun dhabbe hain bahut se tirgi ke kin raushniyon mein ghir gaya hun