dar koi jannat-e-pindar ka wa karta hun aaina dekh ke main hamd-o-sana karta hun raat aur din ke kinaron ke talluq ki qasam waqt milte hain to milne ki dua karta hun wo tera unchi haweli ke qafas mein rahna yaad aae to parindon ko riha karta hun ek ladki ke taaqub mein kai barson se nit-nai zat ke hotel mein raha karta hun puchhta rahta hun maujon se guhar ki khabren ashk-e-gum-gashta ka dariya se pata karta hun mujh se 'mansur' kisi ne to ye pucha hota nange panw main tere shahr mein kya karta hun