dara ke mauj o talatum se ham-nashinon ko yahi to hain jo duboya kiye safinon ko sharab ho hi gai hai ba-qadr-e-paimana ba-azm-e-tark nichoda jab aastinon ko jamal-e-subh diya ru-e-nau-bahaar diya meri nigah bhi deta khuda hasinon ko hamari rah mein aae hazar mai-khane bhula sake na magar hosh ke qarinon ko kabhi nazar bhi uthai na su-e-baada-e-nab kabhi chadha gae pighla ke aabginon ko yahi jahan hai jahannam yahi jahan firdaus batao aalam-e-baala ke sair-binon ko hue hain qafile zulmat ki wadiyon mein rawan charagh-e-rah kiye khun-chakan jabinon ko tujhe na mane koi tujh ko is se kya 'majruh' chal apni rah bhatakne de nukta-chinon ko