daraaz itna meri qaid ka zamana tha ki wo chaman na raha jis mein aashiyana tha bahae ashk jo us ne ye ek bahana tha ki khun-baha ko mere khak mein milana tha bala se jaan gai intizar mein meri mujhe to aap ka ek wada aazmana tha jafa-e-charkh zaruri thi ishq se pahle ki apne dil ka mujhe zor aazmana tha ab intizar tumhaara main aur kya karta hui thi der bahut mujh ko dur jaana tha jahan hum aaj gharib-ud-dayar hain 'natiq' usi dayar mein apna gharib-khana tha