darakht sukh gae ruk gae nadi nale ye kis nagar ko rawana hue hain ghar wale kahaniyan jo sunate the ahd-e-rafta ki nishan wo gardish-e-ayyam ne mita dale main shahr shahr phira hun isi tamanna mein kisi ko apna kahun koi mujh ko apna le sada na de kisi mahtab ko andheron mein laga na de ye zamana zaban par tale koi kiran hai yahan to koi kiran hai wahan dil o nigah ne kis darja rog hain pale hamin pe un ki nazar hai hamin pe un ka karam ye aur baat yahan aur bhi hain dil wale kuchh aur tujh pe khulengi haqiqaten 'jalib' jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le