dard ab had se guzar kar la-dawa hone ko hai

dard ab had se guzar kar la-dawa hone ko hai
aap ki ulfat mein dekhen aur kya hone ko hai

aap ke abru-e-pur-kham ke karishme al-aman
ek ishaare mein na jaane kya se kya hone ko hai

be-hayai daur-e-hazir ki ye kahti hai mujhe
husn parde se nikal kar bad-numa hone ko hai

tare takrane ko hain aur zalzale aane ko hain
az-zamin-ta-asman mahshar bapa hone ko hai

raat din katti hai ab umr-e-aziz is fikr mein
hashr mein pesh-e-khuda 'khurshid' kya hone ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close