dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage

dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage
tu namak bhi lagae to marham lage

kitni pyari mohabbat ki sargam lage
nannhi bitiya ke pael ki chham-chham lage

jab bhi pita hun mujh ko khuda ki qasam
man ke hathon ka pani bhi zamzam lage

jab talak tum mere sath chalte rahe
mujh ko rahon ke kante bhi resham lage

tum agar sath hon to khizan bhi mujhe
khubsurat bahaaron ka mausam lage

ai zaman kahkashan phul tare qamar
un ke aage mujhe sare maddham lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close