dard dab jae kisi taur na aansu aae

dard dab jae kisi taur na aansu aae
jazba-e-dil pe bata kis tarah qabu aae

tirgi in ko mitane pe kamar-basta thi
phir bhi jangal mein chamakte hue jugnu aae

dil ke sahra mein bahut tej kulanche bharte
sham hote hi teri yaadon ke aahu aae

tere ehsas mein dubun to mahak jae dimagh
tujh ko sochun to mere jism mein khushbu aae

ai khuda khair salamat rahe gardan meri
mere kandhe pe phir ek shakhs ke bazu aae

kuchh to ho aisa mere dost ki ye raat kate
chain bimar ke dil ko kisi pahlu aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close