dard-e-dil ki dawa na ho jae zindagi be-maza na ho jae lutf deti hai kya umid-e-wafa bewafa ba-wafa na ho jae kaise betab un ko dekhunga aah yarab rasa na ho jae dil mein hasrat basa to li hai magar ye kadi silsila na ho jae apni duniya usi se raushan hai gul charagh-e-wafa na ho jae hum sitam ko karam samajhte hain un pe ye raaz wa na ho jae ek zamana hai us ka diwana kahin wo but khuda na ho jae dil hi sab se bada sahaara hai dil kisi se juda na ho jae tum agar chhu lo apne honton se sher mera tera na ho jae dil luta kar 'jigar' hamari tarah koi be-asra na ho jae