dard-e-dil la-dawa nahin hota

dard-e-dil la-dawa nahin hota
aap chahen to kya nahin hota

un ka wada wafa nahin hota
jis ko samjho hawa nahin hota

khud hi jab tak fana nahin hota
qatra dariya-ada nahin hota

hai ye nairangi-e-khayal faqat
kuchh bhi achchha-bura nahin hota

dar-khur-e-qahr hum to hain lekin
ishq ka ye sila nahin hota

ho gaya dil juda khudai se
tujh se lekin juda nahin hota

sari duniya ke tazkire hain wahan
zikr lekin mera nahin hota

dil se mitta nahin khayal tera
dil ka chaha hua nahin hota

wae bar-haal-e-nakhun-e-tadbir
ek uqda bhi wa nahin hota

jab wo hote nahin hamare pas
kuchh bhi un ke siwa nahin hota

be-khudi-ha-e-muddaa ki qasam
muddaa muddaa nahin hota

husn aur ishq ke siwa ai dil
kuchh bhi la-intiha nahin hota

dil ko thame hue main baitha hun
dil mein dard aaj kya nahin hota

be-kasi-ha-e-gham hazar afsos
kya khuda bhi khuda nahin hota

haq yahi hai ki haqq-e-ishq tera
lakh ada ho ada nahin hota

ishq jab tak sharik-e-haal na ho
zindagi mein maza nahin hota

zulm dil par wo kitne hi dhaen
dil ko un se gila nahin hota

wasl hota visal hota hai
aalam-e-dil mein kya nahin hota

dil pe jaisi balaen chhati hain
yun hujum-e-bala nahin hota

aao ab qasd-e-dair kar dekhen
yun dar-e-kaba wa nahin hota

rahbar tera kaun hoga 'junun'
dil hi jab rahnuma nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close