dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona aadmiyat hai yahi aur yahi insan hona nau-giraftar-e-bala tarz-e-wafa kya jaanen koi na-shad sikha de unhen nalan hona roke duniya mein hai yun tark-e-hawas ki koshish jis tarah apne hi sae se gurezan hona zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona daftar-e-husn pe mohr-e-yad-e-qudrat samjho phul ka khak ke tode se numayan hona dil asiri mein bhi aazad hai aazadon ka walwalon ke liye mumkin nahin zindan hona gul ko pamal na kar lal-o-gohar ke malik hai use turra-e-dastar-e-ghariban hona hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se badh kar nang hai mere liye chaak-gareban hona qaid yusuf ko zulekha ne kiya kuchh na kiya dil-e-yusuf ke liye shart tha zindan hona