dard is darja mile zabt mein kaamil hua main us ko pane ki talab mein kisi qabil hua main phone par baat hui us se to andaza hua apni aawaz mein bas aaj hi shamil hua main ro ke aksar main hansa hans ke main roya bhi agar zindagi tujh mein to har rang mein shamil hua main zindagi chain ki sab ko hi bhali lagti hai kaise haalat the mere ki jo qatil hua main dekhna chahunga main tujh ko qarib aur is se aaj ke baad kabhi khud ko jo hasil hua main koi samjhe ya na samjhe inhen padhne wala sher kah kar ye kathin khud pe hi mail hua main