dard jab dil mein sama jata hai lazzat-e-zist badha jata hai khun-e-masum se diwaron par gham ka afsana likha jata hai ab to har jazba-e-bebak ka bhi hausla past hua jata hai jaane kyun mujh ko haya aati hai war jab un ka khata jata hai gham-e-ayyam ka har ek manzar shiddat-e-dard badha jata hai rafta rafta dil-e-diwana bhi mahram-e-raaz hua jata hai be-gunahon ka bhi ab to 'farigh' jina dushwar hua jata hai