dard ka kohsar khinchta hun sans kab hai ghubar khinchta hun ishq hai hi nahin ye tohmat hai dil nahin hai main bar khinchta hun nabz hai dubne bhi lagti hai sans hai zor-dar khinchta hun khinchta hun use main apni taraf aur be-ikhtiyar khinchta hun to koi sarban karta hai main khud apni mahaar khinchta hun sher kahta hun main alag dhab se qafiya jaan-dar khinchta hun camere mutmain nahin karte aks hain bar bar khinchta hun