dard ka samundar hai sirf par hone tak ishq ki haqiqat ke aashkar hone tak roz-o-shab ki gardish mein mahw-e-raqs rahte hain khak ke bagule hain bas ghubar hone tak khwahishon ki khushbu mein khwab khwab phirte the palki mein taron ki hum sawar hone tak qurbaton ke jangal mein der kitni lagti hai pairahan mohabbat ka tar tar hone tak soch ki haweli mein ek sukut tari tha muntazir nigahon ke be-qarar hone tak aatish-e-gham-e-dil mein khak ho gae hum to rishta-e-mohabbat ke ustuwar hone tak zindagi ke lahje ko ek umr lagti hai dhup ki tamazat se saya-dar hone tak ajnabi musafir the ham-safar rahe phir bhi ek gurez hail tha e'tibar hone tak paniyon ke sine par aaj bhi safine hain sar-phiri hawaon ke sazgar hone tak kitni maujen duben-gi sahilon ke daman mein qurbaton ki koshish mein raaz-dar hone tak tha kamal-e-kuza-gar dhaalta raha mujh ko han 'farah' lage barson shah-kar hone tak