dard ki shakh pe ek taza samar aa gaya hai kis ki aamad hai 'ziya' kaun nazar aa gaya hai jaane kis jurm ki pai hai saza pairon ne ek safar khatm pe hai agla safar aa gaya hai lahr khud par hai pasheman ki us ki zad mein nanhe hathon se bana ret ka ghar aa gaya hai dard bhi sahna tabassum bhi labon par rakhna marhaba ishq hamein bhi ye hunar aa gaya hai aa gaya us ki buzurgi ka khayal aandhi ko we jo ek rah mein bosida shajar aa gaya hai us ki aankhon mein nahin pahli si chahat lekin ye bhi kya kam hai ki we laut ke ghar aa gaya hai apni mahrumi pe hone hi laga tha mayus dekhta kya hun duaon mein asar aa gaya hai zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe tujh ko jaana tha kidhar aur kidhar aa gaya hai haq paraston ke liye sabr ka lamha hai 'ziya' jhut ke neze pe sachchai ka sar aa gaya hai