dard nisbatan kam hai aaj dil ke chhaalon mein phir bhatak na jaun main subh ke ujalon mein zindagi ki rahon mein yun na chhodiye tanha hum bhi hain zamane se sath chalne walon mein mustaqil khamoshi ka kuchh to hal nikal aata hum agar na kho jate waqt ke sawalon mein aaj un ki zulfon ki aur badh gai qimat raat bhi muqayyad hai uljhe uljhe baalon mein maut aur mushkil ho zindagi ke maron ki khun-e-dil mila dije zahr ke piyalon mein main to kuchh nahin kahta khud mulahiza kije kis ka nam chalta hai aaj khush-jamalon mein narm narm lab hain ya pankhudi kanwal ki hai band hai shafaq un ke phul jaise galon mein wo charagh kal shab ko bujh gaya sar-e-mahfil jis ko dhundte ho tum aaj ke ujalon mein lakh mujh ko wo bhulen phir bhi hai yaqin 'nayyar' munfarid rahunga main yaad karne walon mein