dard sare shab-e-KHamosh mein gir jate hain

dard sare shab-e-khamosh mein gir jate hain
ashk jahil hain mere hosh mein gir jate hain

bandagi hum ne tabiat mein wo pai hai ki bas
sar khudaon ke kai dosh mein gir jate hain

jaane laghzish ko hamari sukun aaega kahan
dar se uthte hain to aaghosh mein gir jate hain

tere kuche se guzarte hue khushiyon ke qadam
tez chalte hain magar josh mein gir jate hain

itne shatir hain yahan log kisi gulchin se
gul bachate hue gul-posh mein gir jate hain

mai-kade se jo nikalti hai khamoshi 'rajnish'
lab wahin saghar-e-mai-nosh mein gir jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close