dard uTh uTh ke ye kahta hai rag-e-jaan ke qarib

dard uth uth ke ye kahta hai rag-e-jaan ke qarib
abhi zindan mein hun lekin dar-e-zindan ke qarib

aag jangal bhari nindon mein lagane wale
tum bhi aana na mere khwab-e-pareshan ke qarib

khushk aankhon mein tere khwab basaun kaise
koi chashma bhi zaruri hai bayaban ke qarib

sardiyon ki ye khunuk dhup bhi pighlane lagi
jaise baitha hun usi shoala-ba-daman ke qarib

aankh khulte hi na wo tha na charaghan na khumar
raat guzri thi kisi chand se mehman ke qarib

dub jata hun main har subh ufuq mein dil ke
shahr-e-jaanan se pare shahr-e-khamoshan ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close