dariya-e-aftab ki tughyaniyat na dekh apna wajud aap pas-e-afiyat na dekh aankhen siyah nuqton se aage na badh sakin aaina-e-khayal ki masrufiyat na dekh ye dekh ab sawal-e-baqa-e-yaqin hai tute hue guman ki masumiyat na dekh aadab-e-har-shikasta-labi ka lihaz rakh har baat mein nazakat-e-guftariyat na dekh jamte hue ghubar ka saya na sar pe rakh ai 'qaus' udti gard ki diwariyat na dekh